Wednesday, 8 June 2016

Google Se Ghar Baithe Ek lakh Rupay mahina Kaise Kamaye

GOOGLE SE GHAR BAITHE 1 LAKH RUPAY MAHINA KAISE KAMAYE

Google se Paisa kaise kamaaye, google se paisa Kamana aj kal bahut aasan hogaya hai, ajkal bahut sare log lakho rupay is se kama rae hai,
wo bhi ghar baithe baithe, Internet se paisa kaise kamaye. To kya ap bhi jan na chahte hai ki aisa kya hai jis se ye log ghar baithe baithe lakho
 rupay kama rae hai bina kisi tension ke bina kisi ke order sune.


Agar ap job karte hai to ap ko apne boss ki sun ni padti hai, Unke hisabh se sab kuch karna padta hai, Wo jab chahe ap ko bula kar kaam karwa sakte hai.
To phir kon hai jo inke hisabh se chalna chahta hai. Inke hisabh se bus wo hi log chalna chahte hai jinke pass koi dusri source nahi hai paisa kamaane ki.
Kya ap jante hai ki jab ap kisi company me kaam karte hai to ap us company ka jitna fayda karate hai uska ap ko bus thoda sa percent milta hai,
jab ki 80% profit company ka hota hai. To sochiye agar ap apna kaam kare utni hi mehnat se to ap yakin maniye ap bhi lakho rupay mahine kama sakte hai.
bus apko sacchi lagan or mehnat ki jarurat hai.


Chaliye aj hum apko batate hai ki google se paisa kaise kama sakte hai. Kya apne blog ke bare me suna hai. Kya ap jante hai blog kya hota hai.
ap jab intenet pe kuch serach karte hai tab apke samne jo websites aati hai wo sab blogs hote hai. Ap ye jo information padh rae hai hamari website par,
ye bhi ek blog hai. Blog walo ki ek cheez hoti hai. Ap jis bhi cheez me expert hai uska ek blog banale.

To chaliye apko batate hai ki blog kaise banate hai. blog banane ke lie sabse pehla ap ka gmail pe ek account hona jaruri hai.


Uske baad apko Blogger.com par jana hai. Ap blog banane k lie naye hai islie ap pehle blogger par banaye phir ap wordpress par bana sakte hai jab
ap is cheez me expert ho jae.


1. Blogger pe jane ke baad apko wahan par apni gmail id and password daal ke log in karna hai.
2. Phir apko left hand par new blog naam ki ek link dikhegi us par click kare.
3. Ap ke samne ek pop up window khulegi.
4. Isme ap apne Blog ka Title daale, Jo bhi ap daalna chahte hai, jisme bhi ap expert ho. jaise ki health , business, insurance,etc.
5. Phir ap Usme Apne blog ka address daale. Jaise is blog ka naam Smartlala hai, aise hi ap koi bhi naam le sakte hai.
6. Lijiye ap ka blog taiyaar ho gaya hai.
7. Ab apko isme content daalna hai jis me bhi aap maahir hai wo content daale.
8. Content daalne k lie ap ke top par ek new post ka link hoga, us par click kare.
9. Us k baad apke samne ek window khulegi jisme ap ko Apna title daalna hai. Phir niche body me pura content likhna hai.
10. Uske baad apko Right hand par die gae option PUBLISH par click karna hai.

Ye lijiye ap ke blog par ek post bhi dal gaya. Ab apko ek kaam karna hai. Aise hi apko 10 post or daalne hai. Ab apka blog paise kamane k lie puri tarah ready ho chuka hai.
Ab apko kya karna hai, apko apne Blog par earnings tab par jana hai, wahan apko diye gae link sign up for adsense par jana hai.
Wahan apko apni details bharni hai. Kuch hi der me apke blog par ads aane lag jaenge. Ab apko ek cheez karni hai.
Bus isi tarah roz post daalte rahe or apne blog par khub sare visitors lae. jaise jaise visitors apke blog par badhte rahenge waise
waise apki kamaai bhi badhti rahegi.Yaad rahe ap ka content ap ka khud likha ho kahin se copy na kia ho.

Yakin hai apko ye jaankari milke khushi hui hogi, agar ap is jaankari se khush hai to abhi is post ko facebook google plus par share kare, or apne doston ristedaaro
ko bhi iske baare me pata karwaye.Ye internet se paisa kamane ka bahut bhadiya upaay hai.