HISTORY OF TAJMAHAL IN HINDI
History Of TajMahal in Hindi |
Agra ka tajmahal duniya ke saat ajoobo mai se ek
hai.Ye do pyar karne waalo ki nishani ka prateek hai.Agra ka tajmahal bhut hi
laajawaab or behatreen hai iski chamak
dekhne door door se log aate hai.Na jaane kitne hi country ke log ise dekhne
aate hai.
Tajmahal shahjahan ne apni priya patni mumtaaj ke gujar jane par unki
yaad mai bnwaya tha.Tajmahal vo sundar ajooba hai jo ek premi ne apni patni ki
yaad mai bnwaya tha.
Tajmahal pura safed sangemarmar ka bna hua hai.Tajmahal
shahjahan ke us atoot pyar ki yaad dilata hai jo ek premi apni premika se karta
hai or uske marne baad bhi use nhi bhoolta or uski yaad mai ek aisi nishani
bnwata hai jo unhe hmesha hmesha ke lie amar kar jaye.
Shahjahan mughalo ke
raaja hua karte the jinhone apne sir sirf ek hi saamne jhukaya tha jo unki
pyari patnhi mumtaj mahal thi.
Veh muslim persian ki raajkumari thi nikaah se
pehle unka naam Arjumand Banu Begum hua karta tha.
Shahjahan jehanagir ke bete
the or akbar ke pote(grandson) the.Shahjahaan 14 saal ki umar mai mamtaaj se
mile or milte hi unke pyaar mai pad gae.Or 5 saal baad son 1612 mai shahjahaan
or mumtaaj ka nikaah ho gaya.
Mumtaj mahal jo shahjahan ki begum thi ve 1631
mai mar gayi matlab gujar gayi.
Mumtaj apne or shajahan ke 14 bache ko janam
dete waqt guzar gayi.Tabhi shahjahan ne apni priya patni ke yaad me Tajmahal
banwaya jisse unhe koi nhi bhool paaye.Or aj bhi bhi jab bhi Tajmahal ka jikar
hota hai Mumtaj ka bhi jikar hota hai.Tajmahal son 1631 mai bnna shuru hua
tha.Sabhi kaarigaro ko Iran or Central Asia se bulwaya gaya tha.
Tajmahal ko
bnane mai 22 saal lage the.Or ise bnane mai 22,000 mistri lage the or 1000
haathi(elephants).Tajmahal sangemarmar se bna hua hai safed sangemarmar ki ye
naayab minar pyaar ka ek sacha prateek hai.
Ise bnane mai 32 million
rupees.Tajmahal son 1653 mai bnke taiyaar ho gaya tha.Kaha jata hai ki
Shahjahan ne Tajmahl bnane waale saare mistriyon ke haath katwa die the jisse
ki aisi nayaab minar dubaar nhi ban paaye.Tajmahal Shahjahan or Mumtaaj ke pyar
ki vo nishaani hai jo duniya mai khi or nhi sirf Agra mai hi hai.