Unwanted 72 Kaise le jis se ap Pregnancy se bach jaye, Sex karne ke kitne time baad ye goli leni chahiye, Kya ap Pregnant ho sakte hai unwanted 72 khane ke baad bhi, iska side effects on periods kya hoga. Ye saari baaton ke sawaal ap ke man me ghum rae honge. Kyunki pyar karte waqt sab koi sab kuch bhul jata hai. Pehle jamane me thoda mushkil hota tha kyunki tab koi aisi suvidha nahi thi ki goli khao ya protection ke sath ap kuch kar sakte hai, but ab sab kuch aagaya hai , ap ap galti hone par uska sudhaar bhi kar sakte hai.
Ajkal bahut saari Pills aati hai in sab cheezo k lie, Har tarike ki dawaa hai jaise I-pill, Unwanted 72, unwanted 21, e-pill Aisi bahut si dawae ajkal chalne lg gai hai jis se ap befikar pyar kar sakte hai.
To yahan hum apke sawaalo ke jawaab k lie baithe hai , Jo bhi apke man me sawaal hai wo ap niche dekh sakte hai or apni paresaani door kar sakte hai.
Unwanted 72 kya hai?
Ye ek goli hai , jise Mankind pharmaceuticals ne launch kia tha, jise 72 ghanto ke andar lia jata hai, Ye ek Emergency pill hai , Isme LEVONORGESTROL hota hai, ye iska main cheez hai jo ki ap ke virya ko fertilize hone se rokta hai. Is goli ko apko 72 ghanto ke bheeter lena hota hai, Jis se apko unchahi pregnancy se chutkara mil jata hai, Ye ek bahut hi bhadiya goli hai in maamlo me. ajkal bahut se doctors bhi isi ko recommend karte hai.
Agar ap Pregnant nahi hona chahti to ap is goli ko lesakti hai 72 ghanto ke andar.
Unwanted 72 ka use kya hai?
- Ye ek bahut hi labhdayak dawa hai jiska 90 percent sahi nateeja nikalta hai.
- Sabse best goli hai emergency k lie
- ye egg ko transfer nahi hone deti
- Ap ke virya ko fertilize hone nahi deti
- sabse behtar hai 72 ghanto ke andar ap ise le sakte hai.
- Ye abortion pill nahi hai , is se bahut hi kam chances hai ki koi nuksaan ho.
- ye assaani se market me available hoti hai , yahan tak ki ap ke pados me bhi ye goli uplabh hogi.
- Sirf ek goli se kaam hojata hai.
- Agar ap pehle se pregnant hai to soche bhi nahi is davaai ke baare me
- 72 ghanto ke bheeter hi le us se late ye kaam ni karegi
- Apka BP high na ho.
- Ap diabetes ke Jyada bade patient na ho.
- Expiry date jarur check kare.
- Apko Cancer nahi hona chahiye.
- Ap ko goli khane se allergy na honi chahiye.
- Apne doctor se jarur salaah le ek baar agar apko koi gadbad lage to.
Apko vomit ho sakti hai.
Apko diarrhoea ho sakta hai.
Apko thakaan mehsus ho sakti hai.
Sir me dard ho sakta hai.
Pet me dard ho sakta hai.
Periods may be delayed for some time.
Heavy bleeding with blood spots.
Unwanted 72 lene ke baad bhi ap pregnant ho sakti hai?
Yes, but 99 % ap bilkul safe hai, par kabhi kisi ki kismat saath na de to ho sakta hai. Agar apko goli khane ke baad vomit ho jae, or goli bahar nikal jae to dusri goli lele. Warna agar apki goli bahar nikal gai to apka pregnant hona shayad sambhav ho jaega.
Unwanted 72 Ko 3 din baad bhi le sakte hai kya?
Ji nahi ap is goli ko bus 72 ghanto ke bheeter hi le sakte hai warna iska koi bhi asar nahi hoga. Tab apko kisi or dawaai ke baar me sochna padega. Humne apse pehle bhi kaha hai ki ye ek emergency pill hai ye abortion pill nahi hai.
72 ghanto ke baad to apko dusri dawaa hi leni padegi jo 21 days ke lie hoti hai. agar ap tabh bhi bhul gae to ap dusri dawaa ka bhi vikalp hai.
Unwanted 72 Ko kya hum regular use kar sakte hai?
Ji nahi doctors ke recommendation ke anusaar ap bus ek period cycle me ek baar hi is goli ka sevan kar sakte hai. Warna ap kI health ke lie ye bilkul bhi safe nahi hai.
Unwanted 72 ka price kya hai aur ye kaha milegi?
iska Jyada dukaano me 56 rupay se 70 rupay ke beech apko kahin bhi mil sakti hai. Ap kisi bhi najdeek medical store se ye goli khareed sakte hai.