Sunday, 26 June 2016

Pimples Door Karne ke 7 Aasan Gharelu Tarike


PIMPLES(ACNE) KAISE DOOR KARE


Pimples Door Karne ke 7 Aasan Gharelu Tarike
Pimples Door Karne ke 7 Aasan Gharelu Tarike
Pimples matlab muhase jo ek ya do nhi balki har dusri ladki ki problem hai or ladkiyan hi nhi
ladke bhi ise face karre hai.Aaj ki generation ki to ye aam baat ho gai hai.Pimples normally to oily skin par hi hote hai but hormones change hone ki wajah se ye dry skin par bhi ho jate
hai.Bina docter ke paas jae bhi hum iska illaj kr skte hai.apne roj ke khane mai thoda sudhar karke athva oily food ko avoid karke hum in pimple se bach sakte hai.



Oily food ko avoid karne se pimples se bacha ja skta hai.Agar hum apne khane mai oil ka istemal kam kre to hum apne face ko pimples se bacha skte hai.Salad ka jyada se jyada prayog krna chaye khane mai salad khane se body ko vitamins or nutrients milte hai jisse hmara blood purify hone mai help milti hai.agar hmara blood saaf hoga to hmare pimples nhi hoge.Kuch log blood purify karne k lie SAAFI bhi peete hai.ye kisi bhi medical store pe mil jati hai.

Ye blood ko purify krti hai jisse hme pimples se chutkara milta hai.Sirf ladkiyan hi nhi ladke bhi SAAFI ka prayog karte hai.
PIMPLES KAISE DOOR KARE
HOW TO REMOVE BLACKHEADS
PIMPLES DOOR KARNE K GHARELU UPAY
PIMPLES HATANE KE GHARELU NUSHKE
Aloevera ka gel pimples ko door karne mai bhut madad karta hai.Aloevera ko kaatke agar aap taaje gel se apne face pe masaj kre to aapko face pe aane wale oil se chutkara mil jaega.

Aloevera gel ki masaj agar chehre pe roj ki jae to isse face pe glow bhi aata hai or sath hi mai pimples
se bhi chutkara milta hai.agar apke ghar ke pas iska paudha agar nhi hai to apko iska gel bajar mai bhi mil skta hai ye ek herbal gel hota hai jisse hmare face pe glow bhi ata hai.

Sunlight matlab dhoop se bachke rehna chaye sooraj ki hanikaran kiran se hmare face pe bht gnda asar padta hai jisse hmari skin tan to hoti hi hai or pimples bhi ho jaate hai islie hme dhoop mai sun protection lagake hi nikalna chaye.Dhoop se skin ko bachane ke lie best SPF 20 hota hai ye dhoop mai hmare face ko sooraj ki haanikaran kiran se bachata hai.
Water matlab paani ka jyada se jyada istemaal karne se acne se chutkara milta hai or skin bhi glow karti hai.Phir chahe vo peene mai ho ya apne face ko dhone maI ho.agar hum apne daily routine mai jyada se jyada paani peeyenge to hmara blood ache se purify hota hai or skin mai chamak ati hai.Agar

hmari skin oily hai or hmare pimples hote hai to hame apna face bar bar paani se dhona chaye jisse hmare face pe dust na chupke.oily skin pe dust bhut jaldi chupakti hai jisse pimples bht jaldi hote hai islie hame barbar apna chehra paana se dhote rehna chye.
Green tea hmari health or hamari wealth dono ke lie bht beneficial hai isse hm apna wajan to kam kar hi sakte hai or apne pimples ko bhi door kar skte hai.Isko peene se face pe glow ata hai or pimples se bhi chutkara milta hai.green tea taste mai jitni buri hoti hai utni hi faaydemand hoti hai ye hame fit rakhne mai bhut help karti hai or blood purify ke lie bht asarmand hai.
jau ka paani matlab BARLEY WATER ye hmare blood ko saaf karne mai bht heplful hai.isse hmara wajan bhi kam hota hai or skin bhi saaf hoti hai.jau ko raat me saaf paani se dhokar bhigoke rakhne se subh uthkar usi paani ko halka gunguna karke chaan ke peene se hmara blood bht had tak saaf hota hai.pimples or uske nishan dono hi door ho jaate hai.